-i was thinking of writing down a lot of sadness to cheer me up (bhadaas nikaal du - types) but naaaaaaaaaa.. then i realised is-se acchha to ye hoga ki un sab palon ko yaad karoon jin-se hamesha mere chehre pe muskaan aa jaati hai...
- ek nanhi si muskaan, kisi maasoom ki..
- wo pal jab aisa lagta ki bade parde mera favorite hero sirf mere liye wo romantic gaana ga rahaa hai..
- krishna/sudesh/kapil/bhaarti ki comedy..
- jab office ja rahi hu aur baarish ki pehli boond seedha mere haath pe aa ke gire.aur fir kuchh hi palon mein saari zameen us saundhi saundhi khushboo se bhar uthe..
- jab main songs shuffle karti hoon aur wo gaana bajne lage jo mere current mood se ekdum match karta ho..
- jab kbc chal raha ho, aur contestant se poochha question mujhe aata ho..
- jab main tweet karoon aur mera favorite tweeter mere tweet ko retweet kare..
- jab meri jeans ki fitting thodi loose ho jaaye (well, this one is a dream but 'working-out' on it)
- jiska call expect kar rahi hu, uska phone khud aa jaaye..
- jab papa poochhte hain ki 'haan €€(my name), kaisi ho?'
- jab tv koi puraana romantic gaana aa raha ho aur wo gaana papa, mummy ki taraf dekh k zor zor se gaane lagein...
- jab main kavita likhoon aur fir padhu aur khud hi waah waah kar uthoon..
- jab neend se jaagoon aur ye pata chale ki 'paanch minute' aur so sakti hoon..
aur aisi hi dher saari khushiyaan...
8 comments:
Well the title avers it all .. True delight inhabits in minor instances of life indeed.
Am in entire agreement with all the spots as well. Will add one more though :
Jab saalo baad aap apne ghar jaayen, apne kamre me jaayen, aapka study table, aapki kitabein, wo pen aur pencils ka dabba, school bag aur aapki cycle (Jo papa ne abhi tak maintain rakhi hui hai) - Seeing all that .. the happiness, emotions of intense joy .. is unexplainable for any vocab and in any language..
As the author said - Dher Saari Khushiyan .. Ek potli me .. :)
Thank you so much. Lovely as ever. The 'joy' mentioned in your comment gave me goosebumps.:):
- purane shirt ki jeb se jab milte hain kuch paise..
- jab koi purana sapna pura hone wala ho...
- jab waiting list ticket confirm ho jaye..
- jab sabke hote hue bhi TV ka remote haath lag jaye..
- college ki koi baat yaad karte hue chehre pe muskaan aa jaye..
- jab sab dost conf call me ho aur college ke dino ki baat ho...
i knw this list never ends, still kisi aur ke blog ko apna blog na hi samjho to acha hai...:P
Dear Neeraj, we got to make this an endless list. We got to keep coming back to this post to share our 'small joys'. Samajh aaya?
Nahi ek baar firse samjahiye na...:P...jaroor :)
Oye!! Write some more small joys here when you think of any new ones. Okay?
Chehre pe muskaan aa gayi.. :) Thanks for making me smile and you Keep Smiling always !! God Bless you !
Shukriya musaafir ji. Muskaan barqaraar rahe :)
Post a Comment